Monday, July 6, 2009

kis qadar jald badal jaate hain insaan jaana


ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan jaana
yaad kya tujhko dilaayein tera paimaan jaana

[tajdeed-e-wafa=renewal of faith; imkaan=possibility; paimaan=oath]

yunhi mausam ki adaa dekh ke yaad aaya
kis qadar jald badal jaate hain insaan jaana

dil ye kehta hai ki shayad ho fasurdaa tu bhi
dil ki kya baat karein dil to hai naadaan jaana

[fasurdaa=sad]

hosh aaya to sabhi khwaab the reza reza
jaise udte hue auraaq-e-pareshaan jaana

[reza=piece; auraaq-e-pareshaan=torn pages]

-Ahmed Faraz

PS: image by Tom Hilton